Breaking

Monday, May 1, 2017

Facebook Page Par Grey Badge Kaise Lagaye Step by Step

Iss post par me batunga ki facebook page par grey badge kaise lagaye agar aap apne fan page ko verified bana na chahate hai to iss post ko pura jarur padhiye me apko bataunga fb page verified kaise banaye.


Verified page kya hai ye aap to jante hi hai lekin agar aap nahi jante ho to me apko batata hu verified page ka matlab kya hota hai.

Verified page 2 tariko se humari madat karta hai hum aapna page verify karne ke bad uss page par grey colour ka badge laga kar fb users ko ye yaakin dila sakte h ki yehi official page hai aur aysa krne se apka page fb search me frist aayega aur apko likes b milegi.

Facebook Par Page Par Grey Badge Kaise Lagate Hai

Fb par grey badge lagana bhot aasan kam hai lekin buri bat ye hai ki india me grey badge lagane ki izzajat nhi di gayi hai lekin dosto hum VPN jaisi apps aur sites ko istemal karke india me beth kar bhardesh wale kam kar sakte hai ye to aap jante hi hai.

Facebook Grey Badge Lagane ki permission sirf chune gaye country ko hi deta hai jaise ki Pakistan,Germany,Canada , USA, UK.
Aage ko future me ye bhi ho sakta hai ki humari india country bhi in list me sahmil hojaye. I hope aysa hi ho.

Fb Page Badge Ke Kya fayde Hai?

■ Logo ko apke page par trust badhega

■ Apka page fb search me frist result me show hoga

■ Page frist result me show hoga to jhaheer c bat hai likes bhi increase hogi

■ Fb users ko Aapke page ko dundne me aasani hogi.

■ Aapko respect di jayegi.

Aur bhi bhot fayde hai jinke bare me me bhi nahi janta.
  
Bythe way hum trick ko istemal kare ge.

Facebook Par Grey Colour Badge Kaise Lagaye

Chaliye aap jangaye hoge fb grey page ke fayde ab hum steps by steps shuru karte hai ye bilkul easy hai and 100% working bhi hai.

Agar ap pakistan ke rehne wale hai to ye aapke liye bhot aasan kam hai aur apko VPN etc use karne ki jarurat nahi.

Lekin aap india ke rehne wale hai to apko VPN apps ko istemal karna padega konsa app istemal krna hai ye bhi me batata hu.

Steps By Steps

1. Sabse pehle apke phone par "Freedome VPN" app ko install kare.

2. App install kare aur open kijiye then "Start using Freedome" par click kare

3. ab Freedome ki Privacy Policy ko "Accpect" kare
 
4. Ab use "Wifi and mobile Networks" par click kare
 
5. "Location" par click kare
 
6. Uske baad "other locations" par click kare


7. Now country ko select kare "canada tornato" ya koi b country.
 
8. Ab OFF button par click karke vpn "ON" karde.

Sussesfully vpn connected hone ke bad notification par "key" ka icon show hoga .. ab apko facebook ke steps follow karna hai.

Verify Fb Page
1. Facebook ko chrome par ya kisi bhi desktop me open kare.

2. Create New Account par click kare aur nava fb account banaye only page grey karne ke liye.

3. Facebook account banane ke bad ab apko facebook page banana hai.

♢Page banate time inn baton ka dhayan rakhe.♢

■ Fb page categery :- Local bussness

■ Facebook subcategery :- Local bussness

■ Fb page par Details pure fill kare agar website hai to website daldijiye and Address aur apna mobile number bhi dal dijiye.

Facebook categery local bussness chuniye and facebook grey page banjane k bad ye teen cheze complete krna bhot important hai

1. Page par info sari fill kare aur apna no. Add kare jo active hai.

2. Page ki cover photo lagaye.

3. Page Ki profile photo bhi lagaye.

● Uske baad aapko page ke "settings" par click karke "Geranal" par click kardijiye.
 
● "Page Verification" Par click kare aur Apna Number Verify kare "Voice call" k option select kare.
 
● kuch samay me apko call ayegi call me 4 secret codes diye jayege unn codes ko page verification par enter karke submit kar dena hai.

Jesa hi ap no. Verify kardo ge apke page par Grey Badge ka tick mark lag jayega aur apka page verified ban jayega.


Agar apko "Page Verification" ka option dikhayi nahi deraha hai to fer se ek bar page details ko check karle.

I hope ki aapne verified grey badge laga diya hoga agar aapko iseke bare me koi sawal puchna hai to puchiye and apke friends ke saat ye post share karna naa bhule

No comments:

Post a Comment

Adbox